Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain Dekhna
Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
Sochna
Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
“Kyun” bhi kehna jurm hy
“kese” bhi kehna jurm hy
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay
0 comments:
Post a Comment